Naadan to hum dono hi they....
Na tune issko teri galti maani.....
Na maine isse alag hona seekha....
Kahin na kahin main tujhse maafinama likhwata rha.....
Aur kahin na kahin tune waqt ko zaya karna hi munaseef samjha....
Na mila mujhe kuch bhi....
Na mila tujhe kuch bhi.....
Par aage se aisa nahi hoga.....
Kahin na ye tujhe bhi pata tha....kahin na kahin mai bhi sukkoon mai tha
Zid karna bhi galat ho sakta tha....
Kaash tjhe ilm ho jaata....
Na mai hi baar baar doobtaa....
Aur na hi tu baar baar mjhe bachane ke liye bhagti.....
Tune zid ko hi bhagwan maana....
Aur maine bhagwan ko hi na maana...
Kbhi goorror chod ke bola to hota....
Mai to kab ka maan jaata
Har waqht bada samjhna bhi galat tha....
Kbhi mjhe jeene to diya hota....
Main dikhne se bilkul alag tha....
Par duniya mjhe kosegi
aur mai hasta hasta dekhunga
Nahi pta kisne kha ki....
Ki hum sabse zyda saans lete hai marte dam tak....
Maine to aakhon mai paani hi dekha hai
Zingadi ki chingaari to kab ki bujh chuki the.....
Fafakti lau ke bujhne ke intezaar main.... mai hasta rha....
Poos ki raat mai chaurahe par sone ki hod the....
Aur mai mahal mai sote hue bhi rota rha....
Ek ek rupe ke liye rote hue bhi dekha hai....
Kambakht kon samjhayen ki.....
Mjhe to ek gold flake ke deebi bhi sasti lagti hai
Ek ek din kaatna bhi mushkil tha....
Duniya hasta hua dekh ke jalti rhe...
Raat ke andhere ki baat hi kuch aur hoti hai.....
Din mai to rone ka bhi jawab dena padta hai....
Maine to road ko hi shamiyaana samajh liya tha.....
Apno ki awaz sun ke jaana ki road ke uss par mera ghar tha.....
Ladkiyan bhi bhut kaabil hain.....
Zaalim duniya ko kaun batae
maine to....
Boyfriend ke peeche baith ke bhi bandiyon ko flying kiss dete dekha hai....
Khuda ne kisi mai itna dam nahi baksha....
Mjhko to maarne wala bhi mera junooon hai....
Mukhtsar si zinadagi ko jeena bhi aasan nahi....
Dikkatein thamne ka naam nahi lete....
Aasun aane se parhez nahi karte....
Ae zamane meri zindgani ko chupa na lena.....
Naslo ko batana ki humbhi hue the....
Kaapta tha zamana mere iraade jaan ke....
Apna parara karne walo ko
Maine thikaane lagaya tha
Subah subah uth ke purana yaad aa hi jaata hai....
Kaun apne kaun paraya aankon mai aa hi jaata hai....
Sab ko maaf to kar deta hun unki takdeeron pe....
Par apni lakkeeron mai sikud sa jaata hun....
Koi aise aadat kaise daal sakta hai...
Seet mai sone ki lat kaise daal sakta hai....
Bhut bedard nikla re khuda tu....
Kuch ko mahakta aashiyana baksh diya....
Kisi ko fate kapde bhi na diya
Raat bhar na so paana meri kismat the....
Kuch na kar paana meri fitrat the....
Unka na so paana unki tohmat the....
Unko na sula paana khuda ki rangat the
Zaalim duniya main,na jaane,kab kat gae zindagi meri....
Do minute ke lie socha....
Maa tu to har kadam saath hi the
Chuup chuup ke rona aadat the meri....
Na jaane kaun si dawa hai....
Maa tere saath hasne ka man krta hai....
Kabr par phool daalne walo ka taata tha pehle din....
Roz roz hawa ko gulzar to tune hi kiya....
Khuda ka kya karna....
Kaun jaanta hai usse....
Jor jor se hasna hasana to....
Maa ke saath hi hota hai....
Khuda ka jalwa na dikhna bhi uski inayat hai....
Usne maa ka saath mukamal karwa ke zindgani baksh di....
2-3 roz se rone ka man karta tha....
Kal maa ne puuch hi liya....
mjhe kab se paraya kar diya tune....
Zindagi ke andhero mai aage badna muhaal tha....
Boodi aankhon ne keh hi diya ki....
Peech peech aa rhe ho ki....
Haath pakun....
Wo din bhi yaad hai maa....
Poos ka mahina door rehna bhi zulm lagta tha....
Khamakha black ka dhuaan evoporate hoke aankhon se precipitate hoke nikalta tha
Afwahon ka daur thamne ae rha....
Dost to dusre ke janaje mai bhi.....
Mere gam mai ruswa tha.....
Afwahon ka daur thamne se bhi na thama.....
Dost to meri barbadi ka gam maykhame mai manate rhe
Sawa ek ka hisab nhi....
Aur athaani ka karz yaad dilati hai....
Maut bhi mjhe dekh ke hairaan the....
Khud hi roo ke kehni lagi....
Zamane mai maatam cha jaayega....
Agar tujhko chua....
ZAMANE ko hasane wala agar yahan se gya
Rooh to mjhe chod chuki thi.....
Zinda laash ban ke jee rha tha.....
kbhi kbhi hasta hua dekh ke.....
Musfir bhi puch lya karta hai....
Bhai kya hua....
Hasi dekhna aadat ho gae the....
Musafirkhana ban gya tha mai....
Sab has diya karte the....
Jab bol diya karta tha....
Sajda na krna meri zid the....
Tumko paake khona meri kismat....
Taqdeer bhi bewaffa nikli....
Yun hi thodi na tumko ruswa kiya....
Alfaaz bhi kam the iss zamake ke....
Koi nahi samajh paaya meri mazboori....
Tujhko bhi hua hoga dard....
Mjhe pata hai....
Iss dard ko kam karna meri haisiyat nahi....
Maafi tak maagne ka haq kho baitha....
Bas aakhir chhez bolunga....
Bhut mazboor tha...bhut mazboor tha
Tumko bhulana aasan to nhi....
Par bhulana zamane ji jarrorat the....
Kitna dara hua hun mai....
Ye batane ki jaroorat nhi....
Pata nhi tumhara..par mai khush to nhi....
Agar tum khush nhi....to mera zinda rhna jaroori to nhi....
Kbhi na kbhi....
Kisi na kisi zanam mai hi sahi....
Mai milunga tumhe....
Dekhte hi keh dunga....
Mai tumko pyar hun krta....
Iss zindagi main yahi sahi....
Mai tumse pyar nhi karta....
Kaash hun ek chidiya hote....
Udna aur khikhilana hi hamara kaam hota....
Kbhi yahan to kbhi wahan....
Tumko mai doodh hi leta....
Khin pedo ki tahni ke peeche....
Tumko main pakad hi leta....
Tum hasti mujhpe....
Main hasata tumko....
Aur koi na hota hawaoun ke alawa....
Uski sard thapedo pe hum batur se jaate....
Mai kai patti ka khosla banata ....
Usme tujhe bulata....
Tumko hawaon se bachata....
Tum khoob hasti aur mai tumko khoob hasata
Kaash ye zamana na hota....
To hum juda na hote....
Kayar kahogi tum mjhko....
Par karz reh gya tha inka mjhpe....
Jiski bali pe tum chadi....
Mai karke bhi kuch na kar paaya....
Tumko fasa diya in zaalim k hawale....
Mai tunse hi pyaar hun karta
Raat mai sone se pehle tumko yaad karna....
Subah uthne ke baad teri yaad.....
Raat mai neend khulne par teri yaad....
Bhut shukriya tera jo tune mere sapno ko haseen kiya....
Bhut mehrbaani teri....
Par haqeeqat to dekho....
Suru nhi hua....bas chaahat hai....
Aur dimaag dil ko samajhta hai ki usko apna na karna....
Nahin to zamana tumhe kosega....
Har subah ye sochna ki aaj tumse baat nahi karunga....
Aur har din tumse phle bolna....
Baat karke apne ko kosna ki kyun ki suruat....
Yahin manzar chal rha hai kai dino se....
Tera har ek lafz mjhe khuda ka lagta hai....
Tumhe sajde ka man karta hai....
Tu hai hi aise.....
Par badpaan to dekho iss chahat ko chahat hi rakhna chahata hun....
Bhut bada kar diya mjhe zamane ne
....
Ae zamana tera shukriya.....
Par jitne khwab ae zamane to tumne tode hai na.....
Uska koi saza nahi.....
Dekhna hoga ki khuda ne kya mukammal kiya hai tere liye...
Bhut hasunga mai jab tu royega....
Cheekhega ki mjhe bacha lo....
Loha kar lunga khud ko.....
Aage badna to door....
Peeche bhi nahi hilunga....
Bas hasunga bas hasunga
Aaj kal tanhai hi acchi lagti hai....
Din din bhar deewaron se batiyata hun....
Tera chehra jo dikhta hai....
Teri kami si khalti hai....
Par tanhaai door kar deti hai....
Tujhme jo sahaliyat hai....
Wo kisi aur mai kahan....
Tujhme jo massomiyat hai....
Wo kisi aur mai kahan....
Tu kahan hai....
Nahi pata mjhe....
Tu kiske saath hai....
Nahi pta mjhe....
Tu bas dikh jaaye....
Din ban jaata hai....
Tu has de....
Taakat aa jaati hai....
Tu mjhe bas chuki hai....
Milne ki darkaar to rhte hai....
Tujhe bhi ilm hota hai....
Par tu kahan..mai kahan....
Meri fakat nahi jitni teri hai....
Mai chah ke bhi tera nahi ho sakta....
Tujhe koi khudai banda naseeb ho....
Mai khuda se ye kehta hun....
Aur khud ko tujhme paata hun....
Khuda ne karwat badli....
Aur usne mjhe tang karne ki sujhi....
Dikha diya tera chehra....
Aur mjh pe chad gya tera pehra....
Raat beet jaati hai....
Tu hi reh jaati hai....
Din beet jaata hai....
Aur tu aati jaati hai....
Noor jo tera aakhon pe aata hai....
Khuda kasam aakhon pe chondha chaa jaata hai....
Wo bhut maze leta hai....
Tuktuki laga ke dekhta hai.....
Mai yahan pagal pagal sa firta hun....
Aur tujhe paane ki kasmakash mai fasta hun....
Bhut dara dara rhta hun....
Par aadmi hun pyar tabhi karta hun....
Tere intezaar mai din beet jaata hai....
Aur tu na dikhe to din barbaad ho jaata hai....
Hasna band bhi kar ae khuda....
Kya hai chupa tujhe jaldi bata....
Aaj kal saansien bhi tez chalti hai....
Jaldi jaldi manzil pe jaana chahti hai...
Khuda tu bhut bada hai....
Sukriya ki tune mjhe ek apne roop ka noor karaya....
Aur pyar kya hota hai....
Do pal hi sahi....
Mjhe bhi karwaya....
Teri deewangi sar pe chad chuki hai....
Tu kya abhi tak wahi khadi hai....
Mai to tanha tha jo tujh pe mar mita....
Aur har saans tujhme kar diya....
Naseeb bhi mera dushman tha....
Hasi to di nahi....
Tujhse aur mila diya....
Intefaq hai mjhe apni kaabiliyat pe....
Nahi bana hun tere liye....
Tu kahan mai kahan....
Kal tak din kat jaata tha....
Aaj to raat bhi jagati hai....
Tumse milne ki ummed mai raat raat jaagta hun....
Aur kisi tarah din kaata hun.