Aaj mai haara haara sa hun firta....
Apne ko hi hun mai kosta....
Pyar to tujhse hun mai karta....
Par usko apne tak mai na rakhta....
Iss baat ka bura sa lagta....
Iss chahat ko sahi na maanta....
Mai bhut matlabi nikal gaya....
Tere pyaar mai naakaabil ban gaya...
Apne ae nafrat si hai aati....
Itni bepanaah chahat kis kaam ki....
Jo tujhe rone ke lie aamada kar den....
Mai pyar karna hi nahin jaanta....
Apne se ek boo si aati....
Tu kisi aur mehfil mai khush ho....
Ye bardaast nahi kar paata....
Kya issi ko pyaar kehte hai....
Puch le tu apne aap se....
Sharm to aati hi hogi....
Jaaan to jaati hi hogi....
Par kubool na karna to teri fitrat hai....
Tujhe apna ghamand yaad aa jaata hoga....
Chahe jo bhi ho tu....
Khud ko to raja hi kehlaata hoga....
Par teri duniya mai koi nahi hoga....
Tu hi raaja....tu hi praja hoga....
Kya karega aise duniya ka....
Jahan koi jhakega bhi nahi....
Khush bhi nahi reh paayega tu....
Khud hi royega aur cheekhega bhi sunega tu....
Kisi aur ko kya matlab hoga....
Teri zindgaani se....
Jahan aise matlabi chahat rehti hai....
Sab kosenge tujhe....
Ki kya tha tu....
Kya ban gya....
Samudra se nikla shankh tha tu....
Aur ret ho gaya....
Jo samay nikalna tha,nikal gya....
Ab badlaav ki ghadi hai....
Badal jaa re tu.....
Sudhar jaa re tu.....
Ab yahan se do raaste jaate hai....
Ek pe thoda jhukna hai....
Jhuk jaayega to tu nikal jaayega...dursa bhut dardnaak hai....
Jahan se duniya tujhe jaanegi....
Teri chahat ko pehchanegi....
Teri kabr par phool barsenge....
Ek aisa aashiq bhi aaya tha....
Jo pyaar ke badle pyaar ko jaanta tha...
Aur kuch bhi na maangta tha....
Usko bas masooqa ki talassh the....
Aur kisi ki na aas the....
Jhuk ke to duniya mar gae....
Aur kai mar rhe hai....
Par ek tu hi hoga....
Jo apne pyar mai jeeyega....
Pyaar mai marega....
Thursday, January 22, 2015
Dard-e-Dil
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment