
in sawaalo ka auchitya kya
ye janana jaruri to nahi
kya ye duniya itni jaalim hain
ya mere dekhna ka nazariya badal gaya hain
kya main unko jaalim chasme se dekh rha hun
par chasma to 5 second baad hata liya
phir derkha unko safed chasme se
abhi bhi kala daag dikh rha hain
ab kya karun
fizool ilzam lagana meri aadat nahi
wo sahi hain aur hum galat
aisa sawaal man main uth rha hain
phir unko dekha karam ke chasme se
karam to unka kuch hain nhi
par wo abhi bhi khush hain
aur hum idhar ro rhe hain
kya khuda ka insaaf ho rha hain
kya khuda yahi maujood hain?
mujhe sandeh hain
aisa sawaal uth rha hain
sawalon ka kya hain
unka to kaam hi hain uthna
musibat kspe nhi aati
par kya sab hathiyar daal dete hain
maidan saza hain
dushman pure laav lashkar main hain
unse dat kar ladna hi sikha hain
wo jyada hain to kya
hun kuch kam hi sahi
par apni nazroon main gire to nahi
gire to wo hain
agar unka chitha khul gaya
to unka aapa kho jayega
aur wo apne aap hi mar jayenge
https://twitter.com/i__m__PRASHANT
No comments:
Post a Comment